Wednesday 27 February 2013


Public to Santa: us rowdy ke vajah se hum pareshaan hai. use haamare area se bhagaane ka koi tareeka bataao?
Santa: aasaan hai, use election mein khadaa karke MLA banaa do. agle 5 saal tak woh tumhaare area ki taraf nahi aayega.


Ramu: tum kaunsi soap use karte ho?
Banta: Main Santa Soap, Santa Paste aur Santa Shampoo use karta hoo
Ramu: wo kya international brand hai kya?
Banta: nahi, santa mera room mate hai.


Santa: tumhaara beta bilkul tumhaara jaisa hi dikhtaa hai.
Banta: dheere se bol... woh padosi ka beta hai

Santa: agar electricity nahi hota to kya hota?
Banta: raat mein candle light mein TV dekhna padta tha


Driver: Poora petrol khatam ho gayi hai. ab aage nahi bad sakte.
Santa: teek hai, gaadi reverse lo aur ghar vaapas chalo


Santa: Tumhe kyu arrest kiya gayaa hai?
banta: maine 50 rupaye ka chillar diya. isliye.
santa: usme kya galti hai?
banta: maine chillar mein do 25 rupaye ka note diyaa tha :-)


Santa: "impossible" shabd mere dictionary mein nahi hai
Banta: arey yaar, ab bataake kyaa faayda. dictionary lete samay check karlenaa thaa na


Examiner santa se: yeh kya hai? tumne khaali paper kyu diye ho?
Santa: kyunki neatness ke liye 5 marks hai, isliye


Santa: maine apni shaadi kaa aamantran patra bejaa thaa na? kyu nahi aaya?
Banta: lekin mujhe koi patra nahi milaa
Santa: arey yaar, maine usme likha thaa na. patra nahi milaa to bhi, zaroor aane ke liye!!!


Santa: bhaisaab, yahaa se mumbai kitna door hai?
Vyakti: 400 km.
Santa: baap re, mujhe aaj hi vaapas lautnaa hai. mumbai se yahaa tak kitnaa door hai?

0 comments:

Post a Comment